Aise Deen Dhayal Hain Bhole Bhare Khajana Pal Bhar Mein – Shiv Bhajan
Aise Deen Dhayal Hain Bhole
Bhare Khajana Pal Bhar Mein
Dev Aadi Dev Mahadev Ki Jai
Jai Jai Bhole Nath Baat Diye
Teen Lok Ko Pal Bhar Mein
Aise Deen Dhayal Hain Bhole
Bhare Khajana Pal Bhar Mein
Jai Bhole Nath
Har Har Mahadev
Aise Deena Nath Hain Bhole
Bhare Khajana Pal Bhar Mein
Pratham Ved Brahma Ko Diye
Bane Ved Ke Adhikari
Vishnu Ko Diye Chakra Sudarshan
Lakshami Si Sundar Naari
Indra Ko Diye Kaam Dhenu
Aerawat Hathi Balkari
Aur Kuber Ko Kar Diye Baba
Dhan Sampatti Ka Adhikari
Apne Paas Bhi Kuchh Naa Rakhe
Magan Rahe Bagamber Mein
Aise Deen Dhayal Hain Bhole
Bhare Khajana Pal Bhar Mein
Amrat To Devo Ko De Diye
Aap Halaahal Paan Kiye
Brahm Gyan De Diye Usko
Jo Bhole Ka Dhyan Dhare
Bhagirath Ko De Diye Ganga
Sakal Jagat Snan Kare
Bade Bade Paapi Hain Taare
Bhakto Ka Kalyan Kare
Aap Sada Hi Mast Rahe Bhole
Piye Bhang Bhar Khapper Mein
Aise Deen Dhayal Hain Bhole
Bhare Khajana Pal Bhar Mein
Veena To Narad Ko De Diye
Hari Bhajan Aur Raag Diye
Brahman Ko Diye Karama Kand
Sanyasi Ko Anurag Diye
Jisko Jaisa Bhagya Tha Milna
Usko Vaisa Bhagya Diye
Apne Liye Kuchh Bhi Naa Rakhe
Sab Kuchh Baba Tyag Diye
Kami Nahi Hai Kisi Baat Ki
Kami Nahi Hai Kisi Baat Ki
Bhole Shankar Ke Ghar Mein
Aise Deen Dhayal Hain Bhole
Bhare Khajana Pal Bhar Mein
Lanka To Rawan Ko De Diye
Beesh Bhuja Das Sheesh Diye
Shri Ram Ko Dhanush Baan
Hanumat Ko Gada Jagdish Diye
Mere Shyam Ko Madhur Bansuri
Shri Shyam Ko Madhur Bansuri
Mor Mukut Sheesh Diye
Bhakto Ko Sharma Mere Bhole
Bhakto Ko Bhakti Ki Aashish Diye
Sada Haath Rakhte Hai Baba
Apne Lakkha Ke Sar Pe
Sada Haath Rakhte Hai Bhole
Apne Bhakto Ke Sar Pe
Aise Deen Dhayal Hain Bhole
Bhare Khajana Pal Bhar Mein