Are Man Yeh Do Din Ka Mela Rahega – Hindi Bhajan
Are Man Yeh Do Din Ka Mela Rahega
Kayam Naa Jag Jhamela Rahega
Ek Din Chale Ghoomane
To Dil Mein Kuchh Arman The
Ek Taraf Thi Jhadiya
Ek Taraf Shamshan Thi
Thokar Lagi Haddi Ko
Haddi Ke Ye Bayan The
Chalne Wale Sambhal Ke Chal
Hum Bhi Kabhi Insaan The
Are Mann Yeh Do Din Ka Mela Rahega
Kayam Naa Jag Jhamela Rahega
Kis Kaam Ka Uncha Tu Jo Mahal Banayega
Rath Hanthiyo Ka Jhund Tere Kis Kaam Aayega
Kis Kaam Ka Uncha Tu Jo Building Banayega
Motor Caro Ka Jhund Tere Kiss Kaam Aayega
Laakho Ka Ye Dhan Tere Saath Chal Naa Payega
Jaisa Yaha Pe Aaya Hai Vaisa Hi Jayega
Tere Safar Mein Savari Ke Khatir
Kandhe Pe Lakadi Ka Dera Rahega
Are Mann Yeh Do Din Ka Mela Rahega
Kayam Naa Jag Jhamela Rahega
Kahta Hai Ye Daulat
Kabhi Aayegi Tere Kaam
Per Ye To Bata Ye Dhan Kiska Hua Gulam
Samjha Gaye Updesh
Harish Chandar Krishna Ram
Are Daulat To Nahi Rahti
Rahta Hai Kewal Naam
Chhutegi Sampatti Yahi Ki Yahi Per
Teri Kamar Mein Naa Dhela Rahega
Are Man Yeh Do Din Ka Mela Rahega
Kayam Naa Jag Jhamela Rahega
Duniya Ke Mitra Ganga Ke Jal Bindu Paan Tak
Are Ardhangini Badegi To Kewal Makan Tak
Pariwar Ke Sab Log Chalenge Mashan Tak
Beta Bhi Haq Nibhayega To Agni Daan Tak
Isske To Aage Ye Bhajan Hi Hai Sathi
Prabhu Ke Bhajan Bin Akela Rahega
Are Man Yeh Do Din Ka Mela Rahega
Kayam Naa Jag Jhamela Rahega