Na Toh Radha Hoon Main Na Toh Meera Hoon Main – Krishna Bhajan
Na Toh Radha Hoon Main
Na Toh Meera Hoon Main
Main Hu Bus Ek Pujarin Teri Saaware
Na Toh Radha Hoon Main
Na Toh Meera Hoon Main
Main Hu Bus Ek Pujarin Teri Saaware
Naa Vo Hasti Meri
Naa Vo Bhakti Meri
Main To Bus Ek Jogan Teri Saaware
Dropadi Jaise Hai Bhaag Mere Kaha
Tere Dil Mein Jo Mil Jata Kona Mujhe
Aata Tu Daud Ke Kaam Sab Chhod Ke
Hey Kanhaiya Jab Bhi Mai Bulati Tujhe
Jeetna Janana Haar Per Manana
Ye Deewani Gawarin Teri Saaware
Na Toh Radha Hoon Main
Na Toh Meera Hoon Main
Main Hu Bus Ek Pujarin Teri Saaware
Naa Tamanna Meri Main Rahu Har Ghadi
Tere Hatho Mein Teri Bansuri ki Tarah
Naa Main Ye Chahti Mor Ke Pankh Ki
Jaisi Mil Jaye Tere Mukut Mein Jagah
Apne Charano Mein Dedo Thikana Mujhe
Maangi Itna Bhikharin Tere Saaware
Na Toh Radha Hoon Main
Na Toh Meera Hoon Main
Main Hu Bus Ek Pujarin Teri Saaware
Main Bhali Yaa Buri Khoti Hu Yaa Khari
Pagali Samjho Yaa Samjho Yaa Mujhe Bawari
Jobhi Jaisi Bhi Hu Bus Teri Hu
Kahti Duniya Mujhe Shyam Ki Bawari
Mujhko Vishwas Hai Rang Deewangi
Layegi Ek Naa Ek Din Meri Saaware
Na Toh Radha Hoon Main
Na Toh Meera Hoon Main
Main Hu Bus Ek Pujarin Teri Saaware
Maine To Yah Suna Sunta Sab Ki Sada
Tu Mila Hai Use Tujhme Jo Kho Gaya
Dekhi Tu Bhaag Ko Aur Kuchh Ho Naa Ho
Jo Tera Ho Gaya Uska Tu Ho Gaya
Ho Sake To Nibha Tu Meri Baat Ko
Laage Ab Raat Din Ab Dhun Teri Saaware
Na Toh Radha Hoon Main
Na Toh Meera Hoon Main
Main Hu Bus Ek Pujarin Teri Saaware
Naa Vo Hasti Meri
Naa Vo Bhakti Meri
Main To Bus Ek Jogan Teri Saaware
Na Toh Radha Hoon Main
Na Toh Meera Hoon Main
Main Hu Bus Ek Pujarin Teri Saaware