Maa Tera Jawab Nahin – Mata Bhajan
Maa Tera Jawab Nahin
Tujh Sa Nawab Nahi
Nafe Nuksan Wali Rakhati Kitaab Nahi
Kaun Le Gaya Hai Kitna Koi Hisab Nahi
Maa Teri Tizori Hamne Dekhi Kabhi Khali Nahi
Khali Kabhi Lauta Tere Dwar Se Sawali Nahi
Kaun Hai Maa Jiske Tune Kiye Poore Khwab Nahi
Maa Tera Jawab Nahin
Tujh Sa Nawab Nahi
Apne Poojariyo Ko Bangale Dilaye Tune
Dere Gufa Mein Jaake Khud Maa Lagaye Tune
Paas Kisi Daani Ke Bhi Aisa Khitab Nahi
Maa Tera Jawab Nahin
Tujh Sa Nawab Nahi
Chadi Tere Naam Wali
Jab Se Khumari Mujhe
Lage Jhuthi Jhuti Si
Saari Duniya Dari Mujhe
Tere Naam Jaisi Koi Dusri Misaal Nahi
Maa Tera Jawab Nahin
Tujh Sa Nawab Nahi
Tu Saare Jaha Ki Maa Hai
Sabka Khayal Tujhe
Chintpurani Maa Kahte
Maiyya Tere Laal Tujhe
Kanto Ko Maa Tu Agar
Deti Gulab Nahi
Maa Tera Jawab Nahin
Tujh Sa Nawab Nahi