Deewani Main Shyam Ki Murali Ke Taan Ki – Krishna Bhajan
Deewani Main Shyam Ki
Murali Ke Taan Ki
Deewani Main Shyam Ki
Murali Ki Taan Ki
Baji Jo Muraliya Aisi Sudh Nahi Pran Ki
Shyam Rang Mann Bhayo
Shyam Tann Mann Chhayo
Shyam Piya Ki Banke Joganiya
Rang Gayi Uss Rang Mein
Jag Sansaar Nigoda Laage
Shyam Base Ang Mein
Radha Ke Sang Mein
Mastani Mai Shyam Ki
Radhe Krishna Naam Ki
Sanwari Saloni Surat
Mere Ghan Shyam Ki
Shyam Rang Mann Bhayo
Shyam Tann Mann Chhayo
Shyam Hi Tann Mein
Shyam Hi Mann Mein
Shyam Hi Jeevan Mein
Shyam Ki Dhun Mein
Chham Chham Nachu
Bwariya Ban Ke Payaliya Khanke
Matwali Mai Shyam Ki
Mala Hari Naam Ki
Gale Mein Viraju Jaise
Chhata Gunj Maal Ki
Shyam Rang Mann Bhayo
Shyam Tann Mann Chhayo
Yaad Mein Teri O Sanwariya
Din Beete Aur Rain
Pyas Bujhegi Kab Iss Mann Ki
Kab Aayega Chain
Barsat Tum Bin Nain
Shyam Mera Yaar Hai
Shyam Dil Daar Hai
Andhe Ki Iss Lakadi Ka
Shyam Aadhar Hai
Shyam Rang Mann Bhayo
Shyam Tann Mann Chhayo
Naa Jap Janu Naa Tap Janu
Naa Bhakti Ka Mol
Mere Girdhar Mai Girdhar Ki
Baat Jaya Anmol
Sanwariya Kuchh Bol
Sanware Ka Sath Hai
Sanware Ka Haath Hai
Mere Saa Naa Deen Koi
Vo Deeno Ka Naath Hai
Shyam Rang Mann Bhayo
Shyam Tann Mann Chhayo